Hello friends kaisa ho aap umid karte hi ki aap sabhi log bahut hi ache or badiya rahenge. toh dosto aaj mei appko sikane wala hu kaise aap log snapseed app ka use karke appni photo ko full hd photo me editing kar sakte ho wo bhi bilkul easy step mein. aaj mein appko step by step samjane wala hu ki kaise aap hd mode mein editing karenge toh chaliya aajka photo editing tutorials ko shuru karte he.
Full hd photo editing kaise kare snapseed se –
Per dosto appse ek hi request hai ki aap is post ko puri tarah se ache se padihe kyuki mene isi post mein appko background ki download ka link diya hai or mene appko step by step samjaya he ki appko kaise hd photo editing karni hai thik hai. Toh chaliye start karte hai iss kamal ki post ko. Dosto sabse appko iss tarah ki photo editing karne ke liye jaise ki appne is post ke starting mein deki uss type ki editing karne ke liye appke pass ek achi photo honi chaiye. Dosto achi photo ka mera matlab hai ki appki photo thodi high quality ki hone chahiye or clear hone chaiye tabhi aap isko ache se edit kar payenge.
Photo ka clear hai toh or appko ek application ka jaruart padegi hd Photo Editing karneke liye or uss application ka naam hai Snapseed agar appke paas Snapseed app nahi hai toh aap is LINK per click karke appne mobile me Snapseed app ko bilkul free mein download kar sakte he thik hai. Toh yaro download karne ke badh appko appne mobile me install karlena hai. or ha dosto appko yeh app dono platforms ke liye available mil jaigi yani Agar appke paas Android device hai toh aap usme bhi download kar sakte hai or agar iphone hai toh usme bhi karsakte hai. Install karne ke badh abhi appko phele hi bar me Snapseed application ko kholna nahi hai. Toh abhi aap abhi yeh jarur soch rahe honge ki agarbhum photo editing app ko open hi nahi karenge toh appni photos ko edit kaise karenge. Toh chaliye mein appko batata hu.
Appne phele appki phone ko gallery app ko open karna hai phir uske badh abhi appko uss photo ko open karna hai jisko aap edit karna chahte hai. Opene karne ki hi appko photo aa jaigi phir appko share karne wala icon / button ko dundna hai appko photo ke niche ya uper ki side mein share wala icon mil jaiga. Appko usko dabana hai. Aap jaise hi usko tap karenge appse device puchega ki appko aap ko konsi application mein send karna hai or appke mobile ki screen per bahut sare apps aajainge share karne ke liye appke phone mein jo bhi sharabe app honge. Unke sath sath appko Snapseed app bhi list mein milega appko usse select karlena hai. Selected karte hi appki image / photo Snapseed app mein load hojaigi. Abhi aapki photo editing kane ke liye tayar he. Snapseed app me appko bahut sare editing features or tools milenge.
Snapseed photo editing 2021
Appko agar Snapseed app mein thodi bahut editing ati hai toh thik hai or agar appko bilkul bhi Snapseed app ko use karna nahi ata toh aap yeh wala link per click karke free mein editing sikh sakte hai. Toh ab chaliye appko mein step by step batata hu. Sabse phele appko tool ka option nazar ayega photo ko niche ki sode mein appko usme jana hai or uske badh appke samne bahut sare tools aajainge usme appko tonal contrast ka option milega usko tap karna hai or uske appko sabhi filter ko 100+ rakna hai sirf shadow ko 30+ rakna hai thik hai. Toh itna hone ke badh appko apply editing karna hai right ✓ tick per click karke uske badh appko uper ki side mein ek edit stack ki button milega usko click karna hai uske badh appko phir ek tonal contrast ka option milega usme jakar appne appne skin or face se remove karlena hai tonal effect ko or sirf background mein hi rakna hai.
Uske badh appki appko double exposure tool ka istemal karna hai or usme ek image ko add karna hai jiski download link mene isi post ke end mein diya hai usko download karke double exposure tool ki madad se add karlena hai or uske badh appko ek 💧 jaisa icon milega joki uski opacity rahegi wo phele 50% rahegi usko appne 100% me change kardena hai. Change karne ke badh right ✓ tick per click karke apply karlena hai. Apply karne ke badh appko edit stack me jana hai or usme double exposure ko choose karke sirf appne background me hi hd background ko add karna hai or baki jaga hai usko erase karlena hai. Erase karne badh appne save karlena hai editing ko or uske badh selective tool or potrait tool ki madad se appne appne face or hands ko white or smooth karlena hai.
Hd Effct Kaise Laye Photo Mein –
Itna sab editing karne ke badh dosto abhi apkko appni photo me ek hd look dene ke liye ek last tool ko use karna hoga jisko madad se appki photo bahut hi attractive dikegi or hd effect jaisa lagega. Dosto agar mein appko ek udahar du toh appne agar kabhi Lightroom app ka use kiya he toh usme appne kabhi na kabhi toh clarity wala tool ko use kiya hi hoga usme appko jaise effects dekno ko milta hai same waise hi is tool mein bhi appko milege Snapseed application mein. us tool ka name hai details tool usko appko open karni hai or uski detail strength ko 60+ rakna hai or uske badh sharpening ko 30+ rakna hai. Or usko bhi same right ✓ tick per click kar a hai or uske badh edit stack mein jana hai or appne face or hands or legs ki skins se effect ko remove karlena hai.
Background Ko Kaise Download Kare ?
Doston jaise ki maine appko iss post ke starting mein bola thi appko background ko download ka link isi post mein mil jaiga toh doston agar aap hd background ko download karna chahte hai toh mene dono hd background ki download link isi paragraph ke bad dediya hai aap vaha se easily kar sakte hai.