snapseed dark photo editing kaise kare. red light png ko downlaode kaise kare.

Photo Editing

So , All right guys kese hai aap sab umid karta hu aap sab bahut hi ache aur badiya rahenge toh aaj ki is new post mein mein apko sikane wala hu ki kaise aap snapseed app mein dark photo editing with red light png ko kaise add kar sakte hai jaise ki appne is post ke ke fiirst mein photo deka hai same waisa hi aaj hum photo editing karne wale hai. toh chaliye aaj ki is kamal ki new post ko shuru karte hehe Snapseed Dark Photo Editing.

Snapseed Dark Photo Editng Kya hai –

toh doston snapseed dark photo editing ek photo editing concept hai jo bahut log same type ki photo editing karte hai isme photo ki background black mode mein change kiya jata hai yani jo photo ka background rahta he usko saturation -0 kardete hai isse se background ka pura colour remove hokar black and white mein change hojata hai or aap usme thodi or editing karke usko or bhi bahut acche se editing kar sakte hai. agar short form mai batau toh appke normal photo ko black mode mein change karna isse hi snapseed dark photo editing kahahte hai.

Red Light png Kya Hai –

doston red light png yani yaha ek image hoti hai joki PNG format mai hoti jaise ki appki jo normal photos rahati hai woh jpeg , jpg mode me rehti hai or yeh jo red light png hai isko hum kisi bhi other image ya photo ke uper add kar sakte hai or woh bhi sirf object us png ki background automatically remove hojaigi or khali light add hogi isko hi hum red light png bolte hai. or yeh sirf red colour hi nahi or bhi kahi tarah ki pngs ati he jo appko pasand ho aap us colours ki png ko appne photos mein laga sakte ho.

PHOTO EDITING KAISE KARE

Snapseed Appki Madad Se Dark Photo Editing Kaise Kare?

Dosoton Chaliye abmein appko batata hu ki kaise aap snapseed application mki madad se dark photo editing kar sakte hai. toh iski liye appko paas koi bhi ek phone hhona chaiye android ya iphone usme minimum 1 gb ki ram or 2gb ki empty internal storage honi chaiye. toh uske badh appko snapseed app ko appne mobile phone mein download karlena hai. snapseed app ko dowload karne ke liye yaha per CLICK KARE. TOh appko waha per click karnke snapseed application ko download karlena hai or appne mobile phone mein install bhi karlena hai. install karne ke badh appko phele appko open karnke photo ko add kar sakte hai ya fir appko mein koi or trick batou toh appko phele app ko open nahi karna he.

Appko phele appne device mobile phone ki gallery ko open karna hai or uske badh appko wo wala photo open karna he appne gallery ke andar jisko aap snapseed dark photo editing karna chahte hai. toh us pjoto ko open karke usko select karna hai long press karke or usi photo ko share button per click karna hai yani send button per aap jaise hi uske uper click karenge appke samne bahut sare apps aa jainge usme appko snapseed bhi dikega appko snapseed ko select karna hai aap jaise hi snapseed ko touch karenge appki photo jo aap edit karna chahte the wo photo appki snpaseed app mein import ho jaigi yane appki photo snapseed app ke sath open hojaigi or abhi aap photo editing kar sakte hai jaisi app chahte hai toh appko mein aaj batunga ki kaisa aap snapseed dark photo editing kar sakte hai.

Toh Doston app jaise hi appki photo ko snapseed app me import karenge appke samne bahut sare photo editing ke liye tools and features aa jainga unme dosto appko abse phele appko niche tool ka option milega uske uper click karna hai or uske uper click karne ke appke samne bahut se or tools aa jainge unme appko first tool milega tune image ki name se appko sabse phele usko hi use karna he photo ko editing karne ke liye toh appko tune image tool per click karna he tap karne bad appko usme kuch adjustment ki options milegi toh usme appko phle brightness ko adjust karna he brightness ko -12 ke aspas karna he uske badh contarast ko adjust karna he contrast ko appko +15 ke pas rakna he uske badh saturation ko +3 fir ambiance adjust karna he ambiance ko appko +6 rakna hai uske badh highlights ko -10 phir shadows ko +3 itna editing karne ke badh appko apply button per click karna he. toh appki photo ki editing tune image ki compele hojaigi uske badh abhi humko sirf photo ki background ko black and white karna hai or sath mein vintage ko bhi add karlena hai.

Toh dosto black and white effect or vintage effect ko aad karne ke liye appko vintage tool ko use karna padega toh vintage tool ko use karne ke liye appko tools ke uper click karna hai or uske badh niche slide karna he slide karte he or appko vintage name tool milega last se second line mein milega toh appne usper tap karna he or usme appko total 12 filter ke numbers milenge appko 12 filter ko select karna hai. select karne ke badh appko brightness -9 or style strength 5+ or saturation ko -100 or vintage ko +15 rakna hai. aisa karne se appke photo mein vintage effect mein add hojaiga

Vinatge Effect ko add karene ke badh appko apply ke button uper click karna he or usme appko phir uper ki ore share ke pass me ek edit stack ka button milega uske uper click karna he or appko first mein vintage name ka tool box milega usko select karna he or usme brush iconnper touch karna he touch karne ke badh invert button badana hai or appko opacity ko 0 rakar appne face , hands or legs or appki jidar bhi skin he waha se vintage effect ko remove kardena hai.

Ab Dosto hamra last photo editing step he jisme appko red light png ko add karna padega toh mene red light png ki link isi post ke end mein diya he aap waha se download kar sakte hai or uske badh appko double exposure tool ko select karna he usme add image icon per tap karna he or red light png ko appne photo ke uper add kar lena hai addd karne ke badh appko uski blendingmode ko default se add mode mein change kardena he or red light png ji ki opacity ko water drop ke icon ke uper click karke thodasa kam kardena hai. or apply kardena hai.

 

Png Ko Download Karneke liye niche diye gaye download link per clik kare-

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *