SNAPSEED PHOTO EDITING

Lightrooom Best Colour Effect Preset Download By Yogesh Editography || Photo Editing Tutorial

Photo Editing Lightroom Lightroom Presets Snapseed

Lightrooom Best Colour Effect Preset Download By Yogesh Editography || Photo Editing Tutorial

Hello Guys, kese he aap sab log umeed karta hu aap sab bahut hii ache aur badiya rahenge, dosto aaj ke is blog me ham appko sikayenge ki appne jo uper ek photo dekha kuch us tarah ki photo editing aap kese kar sakte ho aur appko me iska ek best colour effect ka preset bhi dene wala hu. appko bas yaha blog pura padna he kyuki sath me appko thodi hi tips aur photo editing ki jankari bhi dunga.

 

Agar aap Lightroom orange preset free download karna chahte hai, aur apna photo achchhe-se edit karna chahte hain, to is post ko continue rakhe.

Lightroom Kya Hai?

Lightroom Adobe ka ek photo editing application hai, jahan se aap kaphi aasani se apne photos ko kai saare amazing effects ke sath edit kar sakte hain.

Is app me kai sare presets milte hai by-deault, aur aap alag-alag websites se bhi download karke use kar sakte hain. Maximum log is app ko color correction/grading ke liye hi istemaal karte hain.

Lightroom se Editing Kaise Karte Hai?

Sabse pahle Google Play Store se Lightroom app apne smartphone me install karna hai. Uske baad Gallery me jakar us photo ko open karna hai, jise aap edit karna chahte hain.

Photo ko SHARE kijiye, Add to Lightroom par click karke aur phir Lightroom app open karke us photo ko select karna hai. Ab aapke saamne image editing ke sare options aa jayenge, jaise ki Crop, Color balance, Presets, etc.

Snapseed Kya Hai?

Yah Google ka hi ek photo-editing app hai, jisme aapko kai sare amazing tools and options milte hai. Snapeed app aapko Plat Store par free me mil jayega, jise download karke aap kaphi easily apne photos ko mobile se hi professionally edit kar sakte hain.

Lightroom Preset Editing Kya Hai?

Agar hame kisi photo ko Lightroom se edit karna hai, to sabhi options ko khud se change karna hoga. Jaise agar red color jyada chahiye, to uske controls ko increase karna hoga. Isi ke sath aapko brightness kam chahiye, to uske controls ko decrease karna hai.

Matlab aap apne photo me jo-jo editing karna chahte hain,to sabhi options par click karke aapko change karna hoga. Aise me editing process kaphi jyada time le leta hai. Vahi par aata hai preset ka kaam.

Preset men pahle se hi sare settings kiye hue rahte hai. Bas aapko settings ko copy karke apne us photo me paste karna hai, jise aap edit karna chahte hain.

Also watch Our New Video !!

Dosto upper jo yaha video he yeh hamre youtube channel ka latest photo editing video he ummed karta hu appko yaha video bahut pasand aya hoga maine appko is video mein bhi free preset diya agar appko aisa preset chaiye toh hamara video descreption se us yellowis + brownish preset ko download kar skte he. is video mein mene appko yeh bhi bata he ki aap kis tarah se appne photo h good loking saturation laa sakte he or appne photo proffessional editing type mein app khud se appni photo ko edit kar sakte he.

 

Preset Kaise Download Kare?

To aaj mai aapko Lightroom ka oragne-colour grading preset provide kar raha hu, jisse aap apne kisi bhi photo ko reddish style me edit kar sakte hai. Download karne ke liye aap niche diye hue Download button par click kare, aur apne Lightroom app me open karke kaphi aasani se editing kar sakte hain.

 

Download Preset Here —

CLICK HERE TO DOWNLOAD

—————————————————————–
➡️Photo Editing Apps –

•Snapseed APP Download  https://bit.ly/2HqXIcW

•Photo Editing And Video Editing Apps I Use https://bit.ly/3aLNJeP

————————–

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *