Snapseed Brown moody photo editing Tutorial || Free lightroom preset download | yogesh editography app download

Photo Editing Lightroom Lightroom Presets Snapseed

Hello! Dosto kese he aap sab? umeed karta hu ki aap sab bahut hi ache or badiya rahenge. dosto swagat he aap sabka fir se ek or new or fresh article mein. aaj hum appko sikayenge ki kis tarah se aap appni photo mein brown tone la sakte he or moody coffee colour / moody brown background colour effect la sakte he.

Dosto aapko mein is blog mein puri jankari dene wala hu tho appse ek request he ki aap is blog ko pura padhe. chaliye hum appko step by step batate he. lekin use phele appko ek bath batadu ki agar aap hamra youtube video dekhar is blog per aye he tho jaise ki appko patah he meine appko video mein bataya tha ki appko brown tone preset link descreption mein milegi tho wo wala brown preset bhi appko mein is blog ke last mein dedunga. or agar aapne hamara youtube video nhi dekh atho vo video bhi appko niche mil jaiga.

Brown Or Orange Tone Editing Kaise Kare?

Dosto Sabse phele appko snapseed aap appne mobile phone mein download karlena he or install karlena he. karneke badh appko appne phone ke gallery mein jana he or appko jo bhi photo edit karna he usko open karlena he. phir usko share karna he or snapseed application mein open karlena he. open karne ke badh appke samne bahut sare option aa jainge. usme appko tools ke uper click karna he or drama tool ko open karna he. drama tool ko open karna he usme appko drama filter 1 ko use karna he. uski filter strenth +75 rakni he or usko saturation +50 rakna he.

Dosto drama tool ko istemal karneke badh appko selective tool ko istemal karna hoga iski madad se hum hum appne face ko gora yani white kar sakte he. isko istemal karneke liye appko selective tool lo open karna he or appko phele appne face ke uper ek line rakni he phir uski brigtness ko appne hisab se badhana he. or saturation ko kam karna he, isi tarah se appko appne hatho or pao ko bhi karlena he.

Dosto itna honeke badh appko appne photo ko share karna he or lightroom application ke andar open karlena he. lightroom application ke andar open karlena he app jaise hi lightroom app ko open karoge appke samne bahut sare option mil jaiyenge jinki madad se app appni photos ko bahut hi achi trah se edit kar sakte he. isme appko phrlr appne photo ki light ko adjust karna he or uske badh iski shadows or highlights ko bhi appne hisab se adjust karlena he uske badh appko colour editing karna he. jisme appke photo mein jitne bhi colours he utne colours ko adjust karlena he jaise background or shirt ka colour.

Agar appko ko photo editing mein koi dikath hoti he ya fir appko koi confusion he toh aap is video ko dekh sakte he.

 

Download Brown/Orange Preset Here — CLICK HERE TO DOWNLOAD

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *